shafaq sitare dhanak kahkashan banate hue wo is zamin pe mila aasman banate hue bhatak na jaen mere baad aane wale log main chal raha hun zamin par nishan banate hue chalo ab un ki bhi basti mein phul bant aaen jo thak chuke hain ye tir-o-kaman banate hue mere wajud ki ruswaiyan tumhaari qasam hai dil mein khauf phir ek raaz-dan banate hue jalae hath tahaffuz mein warna aandhi se charagh bujh gaya hota dhuan banate hue pada hua hai wo tarikiyon ke malbe mein khayal-o-khwab mein ek kahkashan banate hue yahi ho ajr mere kar-e-khair ka shayad akele rah gaya khud karwan banate hue zamin pe baith gaya thak ke do-ghadi 'khalid' amir logon ki wo kursiyan banate hain