fikr hai shauq-e-kamar ishq-e-dahan paida karun chahta hun ek dil mein do makan paida karun tab-e-ali se agar auj-e-bayan paida karun main zamin-e-sher mein bhi aasman paida karun hun main wo dil-sokhta tasir-e-ah-e-garm se gulshan-e-jannat mein bhi daur-e-khizan paida karun panw kahte hain tere kuche mein aa kar zoaf se tu gira de aur main khwab-e-giran paida karun ab bhi tum aao to main aankhon mein bahr-e-yak-nazar dhund kar thodi si jaan-e-na-tawan paida karun main hun ai 'taslim' shagird-e-'nasim'-e-dahlawi chahiye ustad ka tarz-e-bayan paida karun