shaghl mai chhodiye uth aaiye mai-khanon se shoale kuchh dur nahin aap ke aiwanon se dekhna rang-e-gulistan hi badal dalenge ab ke palte jo ye diwane bayabanon se mutmain aap na hon bhej ke zindan mein hamein inqilabaat utha karte hain zindanon se waqt ki baat qafas mein bhi thikana na raha ho chala tha hamein jab uns nigahbanon se saghar-e-zabt chhalakne ko hai ai ahd shikan dil bahalta nahin tute hue paimanon se na mohabbat na murawwat na hamiyyat na khulus aaj insan nazar aate nahin insanon se aag ye kis ne bahaaron mein laga di 'athar' uth raha hai ye dhuan kaisa gulistanon se