shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao koi bhi rut ho bahaar ke pairahan mein aao koi safar ho tumhin ko manzil samajh ke jaun koi masafat ho tum meri hi lagan mein aao kabhi to aisa bhi ho ki logon ki baat sun kar meri taraf tum raqabaton ki jalan mein aao wo jis ghurur aur naz se tum chale gae the kabhi usi tamkanat usi bankpan mein aao ye kyun hamesha meri talab hi tumhein sada de kabhi to khud bhi supurdagi ki thakan mein aao hazar muflis sahi magar hum sakhi bala ke kabhi to tum ahl-e-dard ki anjuman mein aao hum ahl-e-dil hain hamari aqlim harf ki hai kabhi to jaan-e-sukhan dayar-e-sukhan mein aao kabhi kabhi duriyon se koi pukarta hai 'faraaz' jaani 'faraaz' pyare watan mein aao