fikr hai mah ke jo shahr-badar karne ki hai saza tujh pe ye gustakh nazar karne ki kah hadis aane ki us ke jo kiya shadi marg nama-bar kya chali thi hum ko khabar karne ki kya jali jati hai khubi hi mein apni ai shama kah patange ke bhi kuchh sham-o-sahar karne ki ab ke barsat hi ke zimme tha aalam ka wabaal main to khai thi qasam chashm ke tar karne ki phul kuchh lete na nikle the dil-e-sad-para tarz sikhi hai mere tukde jigar karne ki un dinon nikle hai aaghushta ba-khun raaton ko dhun hai nale ko kaso dil mein asar karne ki ishq mein tere guzarti nahin bin sar patke surat ek ye rahi hai umr basar karne ki karwani hai jahan umr aziz apni 'mir' rah hai darpesh sada us ko safar karne ki