shagufta apna dil-e-dagh-dar rahta hai yahan khizan mein bhi lutf-e-bahaar rahta hai tasawwur-e-rukh-o-gesu-e-yar rahta hai yahan khayal ye lail-o-nahaar rahta hai tumhaari tegh-e-nigah tez kyon hai aashiq par ye said aap hi har-dam shikar rahta hai siyah-poshi-e-pir-e-falak hai raaz-e-ajib gham us ko kis ka hai kyon sogwar rahta hai kiya hai aankhon mein jis din se lakht-e-dil ne maqam hamare pesh-e-nazar lala-zar rahta hai khuda bachata hai bas warna aashiq-e-mahjur ajal se aath pahar ham-kanar rahta hai jise ki gardish-e-gardun ne pis dala ho zamin se kab use khauf-e-fishaar rahta hai gunahgar hun 'talib' isi sabab har-dam khayal-e-amad-e-roz-e-shumar rahta hai