mehrban mujh pe dam-e-naza wo gulfam hua bare aaghaz se behtar mera anjam hua kabhi aata nahin yan harf-e-shikayat lab tak kya zaban par bhi musallat dil-e-nakaam hua qaid-e-hasti se riha hunga na be-maut aae mujh se wahshi ke liye tar-e-nafas dam hua shana kahta hai mere dil se mukhatib ho kar jo phansa zulf mein wo morid-e-alam hua dahan-e-yar ke mazmun jo ghazal mein dekhe log kahne lage shair ko ye ilham hua harf-e-rukhsat to zaban par tere aaya bhi na tha muztarib pahle hi kyon ye dil-e-nakaam hua apne saqi ki shikayat nahin karta lekin dur kaisa hai ki mamlu na mera jam hua rang faq mah-e-munawwar ka hua gardun par jalwa-farma wo pari-ru jo lab-e-baam hua is zamane mein wo jadu hai khushamad ka kalam jis ne 'talib' suna wo banda-e-be-dam hua