shahar mein ole pade hain sar salamat hai kahan is qadar hai tez aandhi ghar salamat hai kahan raat ne aisi siyahi ab bikheri chaar-su aankh walon ke liye manzar salamat hai kahan aap kahte hain chhupa lun apni uryani magar jism se lipti hui chadar salamat hai kahan qulqul-e-mina se apni pyas to bujhti nahin chur sab shishe hue saghar salamat hai kahan reza reza ho gai har shakhs ki pakizgi sang-sari ke liye patthar salamat hai kahan koi chehra asl surat mein rahe baqi to kyun but-shikan ke ahd mein aazar salamat hai kahan har taraf ek jang ka mahaul hai 'azam' yahan aadmi ab ghar ke bhi andar salamat hai kahan