shahkar-e-husn-e-fitrat sazishon mein bat gaya aaina tuta to chehra aainon mein bat gaya raat maqtal mein khuda jaane wo kis ka qatl tha jo tabarruk ban ke sare qatilon mein bat gaya main kitab-e-zindagi ka ek lafz-e-mustaqil waqt ne tashrih ki to hashiyon mein bat gaya lakh ab duniya manae us ka jashn-e-irtikaz wo to reza reza sare doston mein bat gaya lamha lamha jod kar auron ko sadiyan bakhsh din khud sadi ka qatl kar ke saaton mein bat gaya us ke bare mein ye andaza bhi lag sakta nahin us ne kitne gham sahe kitne dukhon mein bat gaya chand qatre us ki aankhon mein mile 'azar' magar wo samundar ban ke sab pyase gharon mein bat gaya