ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua ek aur sal meri umr ka tamam hua ragon mein gardish-e-khun ka ghulam thahra hai na us badan ka kabhi mujh se ehtiram hua mere chahaar-taraf hai hisar-e-maharumi tamam-umr kati aur na koi kaam hua koi zamin na daldal na aasman hai ab kahan pahunch ke meri rah ka ikhtitam hua ajab latif si tezabiyat thi lahje mein bade khulus se jis dam wo ham-kalam hua suna hai raat farishte chhupe the mabad mein hamare shahar mein phir aaj qatl-e-am hua hazar qatl ke badle mein ye saadat hai ki ek shakhs kisi qaum ka imam hua