shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair koi asar kiye baghair koi asar liye baghair koh-o-kamar mein ham-safir kuchh nahin ab ba-juz hawa dekhiyo palatiyo na aaj shahr se par liye baghair waqt ke marke mein thin mujh ko riayaten hawas main sar-e-marka gaya apni sipar liye baghair kuchh bhi ho qatl-gah mein husn-e-badan ka hai zarar hum na kahin se aaenge dosh pe sar liye baghair qarya-e-girya mein mera girya hunar-warana hai yan se kahin talunga main dad-e-hunar liye baghair us ke bhi kuchh gile hain dil un ka hisab tum rakho did ne us mein ki basar us ki khabar liye baghair us ka sukhan bhi ja se hai aur wo ye ki 'jaun' tum shohra-e-shahar ho to kya shahr mein ghar liye baghair