wo gul hain na un ki wo hansi hai dekho jidhar us si padi hai kyun sog ki rasm jite-ji hai marne ki hamare kya kahi hai aadi haikal ko chum legi wo chiz jo kuchh uthi uthi hai dawat thi raqib ki mere ghar juti mein dal kya bati hai aaya dabe panw qabr par kaun koi nahin meri bekasi hai ek waza par ab khuda nibahe tauba kar ke sharab pi hai waiz hai kharab khwahish-e-khuld bilkul ye shakhs jannati hai kuchh phut padi hai ghunghruon mein chhagal kuchh un ki kah rahi hai majbur farishta hai badi ka pahle hi se kuchh kahi badi hai paiwasta nahin mera lab-e-shauq tere lab par teri hansi hai ab kaun kalim ban ke aaya phir tur par aag si lagi hai hai aankh mein aankh kaun dale koi nahin teri aarsi hai kaisa pina kahan ki tauba ab main hun khuda hai be-khudi hai khush hoge 'riyaz' se bhi milna kya bagh-o-bahaar aadmi hai