shahr bhar ke aainon par khak dali jaegi aaj phir sachchai ki surat chhupa li jaegi us ki aankhon mein lapakti aag hai behad shadid sochta hun ye qayamat kaise tali jaegi mushtail kar dega us ko ek zara sa ehtijaj mujh pe kya guzri hai is par khak dali jaegi qaid ka ehsas bhi hoga na hum ko dosto yun hamare panw mein zanjir dali jaegi ai mohabbat lafz ban kar itni sanjida na ho ek din tu bhi kitabon se nikali jaegi sharm se khurshid apna munh chhupa lega kahin roz-e-raushan mein bhi 'danish' raat dha li jaegi