shahr-e-alfaz mein tanha hun mujhe qatl karo main ek aawaz-e-shikasta hun mujhe qatl karo kyon mujhe dekh ke dar jate ho duniya walo apne hi jism ka saya hun mujhe qatl karo wahi be-chehragi likkhi hai muqaddar mein agar nai qadron ka main chehra hun mujhe qatl karo jis pe ab tak na pada waqt ka koi bhi nishan main wo afkar ka shisha hun mujhe qatl karo kyon mujhe bazm-e-tamanna mein utha lae ho main nai fikr ka lamha hun mujhe qatl karo zabt ke qasr mein phir aag na lag jae kahin main to jazbaat ka shoala hun mujhe qatl karo tum jo tanhai ke jangal mein bhatakna chaho gum-shuda shahr ka rasta hun mujhe qatl karo