shahr-e-wafa mein apna koi aashna na tha main tha akela sath koi rahnuma na tha rudad-e-ahd-e-rafta sunai thi main ne jab aansu kisi ki aankh mein thahra hua na tha suraj tha apni fahm ka aisa bujha bujha jaise ki raushni ka use tajraba na tha jangal mein aarzu ke bhatakta tha ek gada yaad us ko apne shahr-e-aman ka pata na tha main to azal se waqt ke zindan mein qaid tha duniya-e-rang-o-bu se koi rabta na tha sincha tha main ne nahr-e-guman se yaqin ka aab lekin hunar ke khet mein pauda uga na tha aaina apne khwab-e-hasin ka tha ru-ba-ru chehra magar zamir ka mujh se chhupa na tha