shahr-e-dil be shabab hai kam hai jitni haalat kharab hai kam hai tujh ko singar ki zarurat kya par ziya rukh kitab hai kam hai us tajalli pe parda rakhne ko ye jo rukh par hijab hai kam hai teri duniya ke jo diwane hain un ka khana-kharab hai kam hai ek ummid dil ki hai mushkil chashm qaid-e-sarab hai kam hai zindagi tujh pe kyon mara jae ye jo jina azab hai kam hai mai-kashi gar ilaj-e-gham thahri phir to jitni sharab hai kam hai ek takhil se hi is dil ki ye jo haalat kharab hai kam hai zabt ka khud pe ajr hai lekin jitna us ka sawab hai kam hai kar do masla hamare lashe ka gar ye hukm-e-janab hai kam hai shahr ki tirgi mitane ko hath mein aaftab hai kam hai