shikast-e-khurdgi ke baad hausla nahin hua jo chuka pahla war hi to dusra nahin hua kaha hua suna hua likha hua nahin hua hamare haq mein to koi bhi faisla nahin hua sukut-e-lab ka wo sabab hain siskiyan wo hichkiyan nigah-e-ishq se faro wo hadisa nahin hua tamam dil ke parche bikhar chuke zamin par hisab rakhne wale ka muhasba nahin hua palat gae tamash-bin gai wo shoabada-gari thi gung wo zaban jab kaha hua nahin hua tumhaare naqsh-e-pa pe main jo chal raha hun der se main khatm ho raha to hun pa rasta nahin hua