shahr-e-ehsas mein zakhmon ke kharidar bahut hath mein sang utha shishon ke bazar bahut koi khidki hai salamat na koi darwaza mere ghar ke sabhi kamre hain hawa-dar bahut hath thakte nahin rangon ke hayule ban kar ahl-e-fan ko sar-e-kaghaz khat-e-pur-kar bahut dasht mein bhi wahi aasar hain aabaadi ke phailta jata hai ab saya-e-diwar bahut dhup ka phul gira shakh-e-shafaq se jis dam din ka chehra nazar aata tha shikan-dar bahut naqsh hai zehn pe yun tera tilismi paikar main hun khud apni nigahon mein pur-asrar bahut lafz kirnon ki tarah dil mein utar jate hain dil nashin hai tera pairaya-e-izhaar bahut khauf dushman ki tarah mere taaqub mein bhi tha khanjar-e-wahm ke main ne bhi sahe war bahut tan gae itne mere gird hawaon ke pahad sans lena bhi hai mere liye dushwar bahut ab bhi lamhon se salasil ki khanak aati hai ab bhi hain waqt ke zindan mein giraftar bahut zakhm ke chand na raaton ko mere dil mein utar mere sine pe na rakh sang-e-giran-bar bahut tirgi aae na 'siddiq' ziya ke nazdik kat rakhti hai ye tuti hui talwar bahut