fareb tha aql-o-agahi ka ki meri fikr-o-nazar ka dhoka jo aakhir-e-shab ki chandni par hua tha mujh ko sahar ka dhoka main baghbanon ki sazishon ko siyasaton ko samajh chuka hun khizan ka kha kar fareb-e-paiham utha ke barq-o-sharar ka dhoka shuur-e-pukhta ki khair ho jis ne zindagi ko bacha liya hai teri nigah-e-karam-numa ne diya to tha umr-bhar ka dhoka duaon ko hath utha raha hun ye khud-farebi mulahiza ho fareb-e-taskin ka bura ho main kha raha hun asar ka dhoka dikhai deti hai maskh 'nayyar' hasin surat bhi zindagi ki qusur hai aaine ka is mein ki hai ye aaina-gar ka dhoka