shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan zindagi aa ja kabhi hum be-gharon ke darmiyan main hun wo taswir jis mein hadse bharte hain rang khal-o-khat khulte hain mere khanjaron ke darmiyan pahle hum ne ghar bana kar fasle paida kiye phir utha din aur diwaren gharon ke darmiyan ahd-e-hazir mein ukhuwwat ka tasawwur hai magar tazkaron mein kaghazon par rahbaron ke darmiyan un shahidan-e-wafa ke nam mere sab sukhan sar-bulandi jin ko hasil hai saron ke darmiyan kaisa fan kaisi zehanat ye zamana aur hai sikh lo kuchh shobade bazigaron ke darmiyan ud gaya to shakh ka sara badan jalne laga dhup rakh li thi parinde ne paron ke darmiyan ye jo khana hai sukunat ka yahan likh do 'bashir' phul hun lekin khila hun pattharon ke darmiyan