kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw

kya banae sane-e-qudrat ne pyare hath panw
nur ke sanche mein dhaale hain tumhaare hath panw

zoaf-e-piri chha gaya zor-e-jawani chal basa
ab chalen batlaiye kis ke sahaare hath panw

machhliyan bazu pe ubhrin saq-e-pa shamen banin
khub sahab ne nikale ab to bare hath panw

fauq hire se nahin hai meri jaan yaqut ko
kyun range hain aap ne mehndi se sare hath panw

mani-o-bahzad ne mulk-e-adam ki rah li
wo kamar mutlaq na pai lakh mare hath panw

hum na kahte the ki har dam shokhiyan achchhi nahin
aakhirash mehndi ne bandhe lo tumhaare hath panw

hatha-pai mein bhi hum chuke na apne kaam se
wasl ki shab yar ne kya kya na mare hath panw

hai zaifi mein bhi hum ko naujawani ka khayal
dil nahin haara hai ab tak go ki haare hath panw

ghair ki dhamki se hum dar jaen ye mumkin nahin
aise bude bhi nahin hain kuchh hamare hath panw

madan-e-yaqut ko dariya banaya aap ne
mehndi mal kar dhoe jab dariya kinare hath panw

is budhape mein bhi 'agha' so jawan mein ek hai
go zaifi aa gai par hain karare hath panw


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close