shahr-e-jaan par jo teri yaad ka lashkar tuta ek hamle mein hisar-e-dil-e-khud-sar tuta jaise ek barq si lahrai pas-e-parda-e-abr jaise ek chand sar-e-shakh-e-sanobar tuta aa gaya ta ba gireban-e-shafaq dast-e-sahab baam-e-aflak pe nahid ka mehwar tuta mere saghar mein utar aaya kisi sham ka aks meri aankhon mein kisi husn ka nashtar tuta dil ki gahrai mein phir jag utha shoala-e-dard munjamid tha jo mere gham ka samundar tuta dasht-e-ayyam se lauti kisi ehsas ki gunj mabad-e-jaan mein kisi wahm ka paikar tuta phir pur-asrar yaka yak hui khamoshi-e-shab phir koi jam kisi hath se gir kar tuta kasni dhup ke aansu meri aankhon se bahe jaise ek mahr-e-darakhshan mere andar tuta ghul machate hue rangon ke parinde nikle sang-e-hairat se jab aaina-e-manzar tuta gumbad-e-gosh mein gunji phir ek aawaz-e-shikast kya khabar ye mera dil tuta ki saghar tuta