shaiKH-o-waiz ko KHudara ham-nashin mat kijiye

shaikh-o-waiz ko khudara ham-nashin mat kijiye
kaam jo shayan-e-ahl-e-dil nahin mat kijiye

dekhiye bas ye ki izn-e-chashm-e-jaanana hai kiya
ishq hai to imtiyaz-e-kufr-o-din mat kijiye

dal den jo dil ke darwazon pe be-mehri ke qufl
ji mein aisi aarzuon ko makin mat kijiye

zehn mein zauq-e-guman ki bhi na gunjaish rahe
is qadar tauhin-e-adab-e-yaqin mat kijiye

shauq se ho lijiye ahl-e-junun ke sath sath
han magar phir fikr-e-jeb-o-astin mat kijiye

hai lagan to kijiye sahra-nawardi misl-e-qais
sirf zikr-e-laila-e-mahmil-nashin mat kijiye

dasht mein kho jaiye jangal mein ja basiye magar
ruh ko bahr-e-khuda uzlat-guzin mat kijiye

muskura kar tal dije dad-khwah-e-shauq ko
han agar mumkin nahin hai to nahin mat kijiye

lutf ka talib hai mal-o-zar ka saudai nahin
apne sail par nigah-e-khashm-gin mat kijiye

ishq ke bare mein na-mahram jo kahte hain kahin
khanda-peshani se sun lije yaqin mat kijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close