shahr-e-nigaran mein phirte hain hum aawara raat dhale shayad koi daricha wa ho shayad koi dip jale koi gham-agin naghma chhede koi 'mir' ke sher padhe kam kam dard ki kaliyan mahken pal pal gham ki raat dhale viran viran dil ki basti suni suni rah-e-wafa aise kathin raste pe koi do-chaar qadam to sath chale chaak har ek gul ka daman aur aawara har mauj-e-saba jaise mujh se mil na saka ho koi bichhadte waqt gale khatm hua hai 'ishqi' tum par silsila-e-wahshat-zadagan shayad koi shakhs tumhaare baad wafa ka nam na le