phul jitne hain tumhaare haar mein sab gundhe hain aansuon ke tar mein jis ne chaha tujh ko sar-gardan raha dasht mein koi koi kohsar mein dil ke tukde o sitamgar bandh le koi khanjar mein koi talwar mein har jagah hain chahne wale tere koi sahra mein koi gulzar mein hai jagah sar phod lene ko bahut kya dhara hai aap ki diwar mein tu agar dam bhar ko aa jae masih jaan aa jae tere bimar mein jo bane ai charkh wo hum par bane par na farq aae teri raftar mein aankhon hi aankhon mein ai 'anjum' kati raat sari intizar-e-yar mein