shahr-e-tarik ke jalte hue manzar dekho qahqahe mar ke hansta hai sitamgar dekho sukhe patton ko zara aag dikha do badh kar aur phir aag ko ummid se badh kar dekho pahle dekho ki ye shishe ka nagar bach jae waqt mil jae to phenke gae patthar dekho haq ki baaten mere hakim ko buri lagti hain phir bhi kahta hun ki aawaz utha kar dekho chashm-e-namnak meri khushk hua chahti hain mazarat dost koi aur samundar dekho