shahr-e-ulfat mein ba-juz jaan ka ziyan kuchh bhi nahin

shahr-e-ulfat mein ba-juz jaan ka ziyan kuchh bhi nahin
laut chal ai dil-e-nadan ki yahan kuchh bhi nahin

aatish-e-ishq bujhi rakh udi dur talak
ab na shoala na sharara na dhuan kuchh bhi nahin

shab ke sannaton mein aawara bhatakte hi rahe
aur bhatakne ka sabab bhi tha kahan kuchh bhi nahin

kis ajab mod pe gardish hamein lai ki jahan
apne hone ka yaqin hai na guman kuchh bhi nahin

aisi raaton ka musafir hun mere hisse mein
chand ka nur na taron ka nishan kuchh bhi nahin

dil mein gar baat koi hai to kaho baat ki hai
gar nahin hai to kaho saf ki han kuchh bhi nahin

dhup sae ko tarasti hui dekh aae hain
kuchh nahin aas ke sahra mein miyan kuchh bhi nahin

zindagi dasht ki manind nazar aati hai
jis ki qismat mein zamistan na khizan kuchh bhi nahin

koi qatil nahin maqtal pe pade hain tale
tum kahan jate ho sahib ki wahan kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close