udasi ghar mein rakkhi kuchh khushi chehre pe mal aae hamein logon mein aana tha so hum chehra badal aae zaruri tha zamane se marasim ka bharam rakhna so thodi der hum bhi rang mein duniya ke dhal aae tamanna jis ki bar aae wo qismat kab hamari thi umidon ke shajar ko kyon hamare koi phal aae yahi ek rah baqi thi ana ki pasdari ki zarurat ke the jitne sanp sab ke phan kuchal aae hamein bhi tishnagi ka tajraba hona zaruri tha so tapti dhup mein sahra ki kuchh din hum bhi jal aae wahi be-rang diwaren wahi be-nur darwaza kahan tak dekhte rahte so hum ghar se nikal aae hamein bhi ab kahan is zindagi se aas hai baqi qaza aana hi jab thahri to aaj aae ki kal aae