visal-o-hijr ke qisse na yun sunao hamein ab is azab-e-shab-o-roz se bachao hamein kisi bhi ghar mein sahi raushni to hai hum se numud-e-subh se pahle to mat bujhao hamein nahin hai khun-e-shahidan ki koi qadr yahan laga ke daw pe hum ko na yun ganwao hamein tamam umr ka sauda hai ek pal ka nahin bahut hi soch samajh kar gale lagao hamein guzar chuke hain maqam-e-junun se diwane ye jaan lena agar kal yahan na pao hamein hamare khun se nikhar jae gham to kya kahna badhao dast-e-sitam dar par chadhao hamein karishma-sazi-e-fikr-o-nazar se kya hasil bane ho khizr to phir rasta dikhao hamein ye lamha bhar ka tasawwur to jaan-lewa hai jo yaad aao to ta-umr yaad aao hamein kitab-e-ishq hain lekin na itni farsuda ki be-padhe hi faqat mez par sajao hamein ujad na jae urus-e-sukhan ki mang kahin khayal-o-fan ki nai jang se bachao hamein