shahr ka shahr lutera hai nazar mein rakhiye ab mata-e-gham-e-jaanan bhi na ghar mein rakhiye kya khabar kaun se raste mein wo rahzan mil jae apna saya bhi na ab sath safar mein rakhiye ab kahin se na kharidar-e-wafa aaega ab koi jins na bazar-e-hunar mein rakhiye sar-e-diwar wo khurshid-ba-kaf aaya hai ab charagh-e-dil-o-jaan rahguzar mein rakhiye shoala-e-dard liye dil-zadagan nikle hain ab koi aag nai barq-o-sharar mein rakhiye chashma-e-chashm pe 'mohsin' wo nahane aaya ab sada us ko isi dida-e-tar mein rakhiye