wo nahin hun main ki jis par koi ashk-bar hota kabhi shama bhi na roti jo mera mazar hota shab-e-gham mein zindagi ka kise e'tibar hota meri jaan ja chuki thi jo na intizar hota meri dastan-e-gham ko wo ghalat samajh rahe hain kuchh unhin ki baat banti agar e'tibar hota yahi soz-e-ishq jis ko main hamesha raaz samjha jo hijab-e-dil na jalta to na aashkar hota main shikayat zamana jo karun to kya samajh kar na ye daur-e-charkh hota na ye rozgar hota dil-e-para-para tujh ko koi yun to dafn karta wo jidhar nigah karte udhar ek mazar hota mai-e-ishq josh-zan hai ye lahu nahin ragon mein mera nashsha kyun utarta mujhe kyun khumar hota mere dil ne badh ke roka tere tir-e-jaan-fishan ko jo ye beach mein na padta to jigar ke par hota wo lahad pe un ka aana wo qadam qadam pe mahshar meri nind kyun uchatti agar ek bar hota shab-e-hijr baad mere agar is jahan mein rahti to yahi siyah daftar mera yaadgar hota jo hamare dekhne ko kabhi aap aa nikalte wahi aankh dar pe hoti wahi intizar hota wo shabab ke fasane jo main sun raha hun dil se agar aur koi kahta to na e'tibar hota ye zamana badh raha hai faqat iztirab-e-dil se shab-e-gham na yun thaharti jo mujhe qarar hota wo jahan mein aag lagti ki bujhae se na bujhti mere dud-e-dil mein 'saqib' jo koi sharar hota