shahr ke diwar-o-dar par rut ki zardi chhai thi har shajar har ped ki qismat mein ab tanhai thi jine walon ka muqaddar shohraten banti rahin marne walon ke liye ab dasht ki tanhai thi chashm-poshi ka kisi zi-hosh ko yara na tha rut salib-o-dar ki is shahr mein phir aai thi main ne zulmat ke fusun se bhagna chaha magar mere pichhe bhagti phirti meri ruswai thi barishon ki rut mein koi kya likhe aakhir 'said' lafz ke chehron ki rangat bhi bahut dhundlai thi