shahr ke footpath par kuchh chubhte manzar dekhna sard raaton mein kabhi ghar se nikal kar dekhna ye samajh lo tishnagi ka daur sar par aa gaya raat ko khwabon mein rah rah kar samundar dekhna kis ke hathon mein hain patthar kaun khali hath hai ye samajhne ke liye shisha sa ban kar dekhna be-hisi hai buz-dili hai hausla-mandi nahin baith kar sahil pe tufanon ke tewar dekhna ai mere aangan ke sae ai mere phaldar ped teri qismat mein hai ab patthar hi patthar dekhna ye sitam ye shorishen tamhid hain is baat ki basti basti har taraf khun ka samundar dekhna