shahr ke log jise teri sitam-zai kahen hum bahar-haal use apni pazirai kahen tere ahbab hamein ghair samajhte hi rahe tere dushman hamein ab tak tera shaidai kahen ye sharaf bhi teri chahat mein mila hai hum ko tere sab chahne wale hamein saudai kahen hum sajate hain shab-o-roz tere zikr ke sath hum qafas mein bhi wahi naghma-e-sahrai kahen lakh tute hain suron par teri ulfat mein pahad tere diwane pahadon ko magar rai kahen tujh ko shikwa hai yahan aa ke tujhe bhul gae hum bhala kis se qafas mein gham-e-tanhai kahen hum ne chaha tujhe zindan ki salakhon ke ewaz ise nadani kahen ya ise danai kahen