phul pe jab ek titli dekhi apni jawani yaad aai aaj na jaane phir kyun mujh ko apni kahani yaad aai zakhm ke tanke tut gae sab raat chali jo purwai phir to chale the zakhm magar phir teri nishani yaad aai yun to sab kuchh bhul chuka hun tark-e-wafa ke baad magar dard utha jab dil mein mere teri nishani yaad aai tere kunware jism ki khushbu phail gai hai kamre mein tujh ko hawa jab chhu kar aai raat suhani yaad aai shama ki lau par jalte dekha raat jo ek parwane ko sari kahani mazi ki wo apni zabani yaad aai bahte hue ek dariya ko jo dekha main ne ek 'nazar' hae kisi ke lahje ki wo narm kahani yaad aai