shahr ki hangama-arai se be-parwa hai wo dhup nikli hai to chaurahe pe aa baitha hai wo chhu liya gar bhul se bhi to jhulas jaega hath phul jis ko aap ne samjha hai angara hai wo mujrmon ki tarah main apne makan mein band hun sar uthae be-gunahon ki tarah phirta hai wo aao us ko khinch laen shohraton ke shahr mein chhup ke kyon gumnamiyon ke ghaar mein baitha hai wo bad-guman hai mujh se lekin phir bhi mera dost hai jab mila hai to gale mil kar bahut roya hai wo tishnagi us ki bujhane wala koi bhi nahin samne panghat ke baitha hai magar pyasa hai wo dosti apni jagah hai ikhtilaf apni jagah aao us ki baat to sun aaen kya kahta hai wo ek muddat se 'aziz' aaya nahin hai is taraf kya khabar kis haal mein hai aur kya karta hai wo