dhundhun bhala khuda ki main rahmat kahan kahan ab kya bataun us ki inayat kahan kahan sahra nadi pahad samundar ye dasht sab dikhlae sab khuda ki ye wusat kahan kahan har samt har tarah ke dikhe us ke moajize jaise khuda ne likh di ibarat kahan kahan sawan mein sabziyat se hai sairab ye faza bahlaun main ilahi tabiat kahan kahan koi na jaan paya khuda ki khudai ko ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan andar zara to jhankte apne ko bhul kar bahar khuda ki dhundhte surat kahan kahan rutba hai zindagani-o-niyyat khuda se tai insan phir bhi karta mashaqqat kahan kahan insaniyat ata to ki insan ko khuda phaila raha wo dekh tu dahshat kahan kahan kahta naman ki ek khuda hai jahan mein jaise bhi phir ho us ki ibaadat kahan kahan