shahr mein raushaniyan ghar mein ujale kam hain

shahr mein raushaniyan ghar mein ujale kam hain
jal uthen aa ki bahut hain ye hawale kam hain

rah-e-haq pahle se mushkil nazar aati hai hamein
khush na ho koi agar panw mein chhaale kam hain

ghar tasawwur mein agar hai to sadak par aa ja
aur wo bol jise bolne wale kam hain

hain udhar wo ki jo zalim bhi hain shaddad bhi hain
aur idhar wo hain ki jo tutne wale kam hain

hakim-e-shahr hamein itna bhi majbur na kar
faisle kar liye hum ne jo wo tale kam hain

itni tarik faza pahle kabhi thi hi nahin
hum ne jitne bhi charagh ab ke uchhaale kam hain

ai watan jin ko ye lagta hai ki sab thik hai wo
aur kuchh honge tere chahne wale kam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close