pukar use ki ab is KHamushi ka hal nikle

pukar use ki ab is khamushi ka hal nikle
jawab aae to mumkin hai baat chal nikle

zamana aag tha aur ishq lau-lagi rassi
hazar jal ke bhi kab is bala ke bal nikle

main apni khak pe ek umr tak barasta raha
thama to dekha ki kichad mein kuchh kamal nikle

main jis mein khush bhi tha zinda bhi tha tumhaara bhi tha
kai zamane nichodun to ek pal nikle

kuchh ek khwab wahan bo rahunga socha hai
wo nain agar mere nainon se bhi sajal nikle

main apne hathon ko rota tha har dua ke ba'd
khuda ke hath to mujh se ziyaada shal nikle

dayar-e-ishq mein sab ka guzar nahin mumkin
kai jo pairon pe aae the sar ke bal nikle

bahaar jazb hai jis mein use banate hue
tamam rang mere canwas pe dull nikle

jami hui thi meri aankh ek alaw ke gird
kuchh ek khwab to yunhi pighal pighal nikle

badal ke rakh hi diya mujh ko umr bhar ke liye
teri hi tarah tere gham bhi be-badal nikle

jo dil mein aae the aahat utar kar apni
wo dil se nikle to phir kitna pur-khalal nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close