shahr mein sare charaghon ki ziya khamosh hai tirgi har samt phaila kar hawa khamosh hai subh ko phir shor ke ham-rah chalna hai use raat mein yun dil dhadakne ki sada khamosh hai kaisa sannata tha jis mein lafz-e-kun kahne ke baad gumbad-e-aflak mein ab tak khuda khamosh hai kuchh batata hi nahin guzri hai kya pardes mein apne ghar ko lautta ek qafila khamosh hai uth rahi hai meri mitti se sada-e-al-atash khali mashkiza liye apna ghata khamosh hai