har ghadi umr-e-faromaya ki qimat mange mujh se aaina mera meri hi surat mange dur rah kar hi jo aankhon ko bhale lagte hain dil-e-diwana magar un ki hi qurbat mange puchhte kya ho in aankhon ki udasi ka sabab khwab jo dekhe wo khwabon ki haqiqat mange apne daman mein chhupa le mere ashkon ke charagh aur kya tujh se koi ai shab-e-furqat mange wo nigah kahti hai baithe raho mahfil mein abhi dil ki aashuftagi uthne ki ijazat mange zahr pi kar bhi jiyun main ye alag baat magar zindagi us lab-e-rangin ki halawat mange zeb dete nahin ye turra-o-dastar mujhe meri shorida-sari sang-e-malamat mange