shahr mein tanha tha lekin karb-e-tanhai na tha ghar se bahar rah ke main itna to saudai na tha khud-bakhud hi dost ban kar bante hain dushman ye log warna az-khud to mujhe zauq-e-shanasai na tha teri nazron ne na jaane kitni izzat bakhsh di mujh ko pahle to kabhi bhi khauf-e-ruswai na tha is bhari duniya mein bas ek main tamasha ban gaya aur shayad koi bhi tera tamannai na tha