rukh hawaon ke kisi samt hon manzar hain wahi topiyan rang badalti hain magar sar hain wahi jin ke ajdad ki mohren dar-o-diwar pe hain kya sitam hai ki bhare shahr mein be-ghar hain wahi phul hi phul the khwabon mein sar-e-wadi-e-shab subh-dam rahon mein jalte hue patthar hain wahi naw kaghaz ki chali kath ke ghode daude shoabda-bazi ke sach puchho to daftar hain wahi bik gae pichhle dinon sahib-e-alam kitne hum faqiron ke magar 'jafari' tewar hain wahi