shahr mein tere mera koi shanasa bhi nahin kaun hun main ye kisi shakhs ne puchha bhi nahin husn-e-maghrur ko aankhon mein basaya bhi nahin hirs ka zahr meri ruh mein utra bhi nahin us ki yaadon se munawwar hui dil ki duniya chand aisa jo abhi abr se nikla bhi nahin apni marzi se qafas hum ne chuna tha sayyaad is liye tere sitam ka hamein shikwa bhi nahin daur-daura hai yahan jaur-o-jafa ka lekin dosto ahl-e-wafa shahr mein anqa bhi nahin gulsitan kaise tujhe saunp den ai dushman-e-gul is mein shamil to tere khun ka qatra bhi nahin nakhuda ghair ki kashti ka tujhe kyon gham hai dur girdab se kuchh tera safina bhi nahin parsa go ki nahin 'sabir'-e-khasta lekin aap jaisa use samjhe hain to waisa bhi nahin