jo meri aankhon se jhankti hai teri kahani hai ya nahin hai agar nahin hai to phir batao ye raegani hai ya nahin hai kisi ke shajre mein kya likha hai mujhe gharaz hi nahin hai is se zaban khulegi to ilm hoga wo khandani hai ya nahin hai main apni tanhai tan pe odhe palat raha hun ye dekhne ko wo aaj bhi apni bewafai pe pani-pani hai ya nahin hai agar ye tai hai ki aasman par banae jate hain sare rishte to phir batao hamari jodi bhi aasmani hai ya nahin hai main un se 'shahbaz' puchhta hun ki sahab-e-eqtidar logo batao logon ke dil mein rahna bhi hukmrani hai ya nahin hai