shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi fakhta bain karne lagi aa ke sham-o-sahar matami fakhta mar gaya raat ko barf odhe hue ek footpath par wo jo kahta raha lafz wo umr-bhar shanti fakhta kaisi kaisi hawaen chalin bagh mein kaun aaya gaya sari tabdiliyon se rahi be-khabar bawri fakhta wo nagar chand ka hai wahan teri kirnon ki khwahish kise is taraf tirgi hai yahan la ke dhar tashtari fakhta be-aman shahr mein kaisi dahshat se guzri thi main kya kahun jab adu dekhti apne hi baal-o-par nochti fakhta wo jo aankhon mein thi koi duniya alag thi jahan se juda mere khwabon mein the amn ka rahbar raushni fakhta main tha shair mujhe shahr-ashob likhne the likhta raha teri qismat mein likhe gae kyun khandar sundari fakhta