sakit ho magar sab ko rawani nazar aae us ret ke sadqe ki jo pani nazar aae main sabz parinde ki tarah shahr se jaun pedon ko meri naql-e-makani nazar aae talab mere khwab ke pani se bhara ho aur us mein pada chand kahani nazar aae ye aankh ye lau kitne zaman dekh chuki hai jis chiz ko dekhun wo purani nazar aae kya kya na main mashkiza-e-alfaz mein bhar lun ek bar agar mauj-e-maani nazar aae