shahrahen nahin dagar to hai manzilen na sahi safar to hai dur sahra mein ek chhota sa be-samar hi sahi shajar to hai mukhtasar go hai dastan meri us ke anjam mein asar to hai zulmat-e-shab giran hai ye mana raat ke baad phir sahar to hai hain dariche udas dar viran kuchh nahin phir bhi apna ghar to hai mere alfaz mein kashish na sahi meri aawaz mein asar to hai