tera KHayal mujhe is tarah pukarta hai

tera khayal mujhe is tarah pukarta hai
ki mandiron mein koi aarti utarta hai

hiloren leti hai kuchh is tarah teri yaaden
nadi mein jaise koi kashtiyan utarta hai

khamoshiyon ke bichhaune pe shab ke pichhle pahar
tera khayal nai aarzu ubhaarta hai

teri wafaon ke mausam badalte rahte hain
meri wafa ka chaman bas tujhe nihaarta hai

kuchh aahaten si kahin ho rahi hain dil ke qarib
koi to hai jo meri bazm-e-jaan sanwarta hai

mujhe to apne aqidon ki pukhtagi hai aziz
nahin ye khauf koi sar mera utarta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close