shaikh ka khauf hamein hashr ka dhadka hum ko sath hi ishq ke aazar ne mara hum ko maut kahte hain jise zabt ka ye khabt na ho zindagi par bhi hai fariyaad ka dhoka hum ko jao han jao raqibon ki muraden bar lao rahne do rahne do nakaam-e-tamanna hum ko hum to insan hain ai khizr hamein marna hai jine deta nahin fitrat ka taqaza hum ko hai abhi dur bahut dur hamari manzil hukm hai farsh se ta-arsh-e-mualla hum ko wo nigah bandh gai dil mein tilism-e-ummid nazar aati hai tamanna hi tamanna hum ko shahr-e-ulfat mein nahin tafraqa-pardaz 'hafiz' kahin kaba nazar aaya na kalisa hum ko